Sunday, 11 September 2011

gazlen


27th December 2009, 03:58 PM
As salam-o-Alaykum

Yahan ham apnay inbox main majud poetry sms bhi share ekrte rahay gay

Insha ALLAH


Mujh main khushbu basi usi ki hai
jese ye zindagi usi ki hai
wo kahin aas pas hai mere
ho na ho ye hansi usi ki hai
ab tou ye khuab b nahi hen mere
ab tou ye nind b usi ki hai
ya tou koi kami nahi mujh main
ya phr mujh main kami usi ki hai.
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:00 PM
Tumhin Kis Nay Kaha Tha

Dopahar Kay Garam Souraj Ki Taraf Deekho

Aur Itni Dier Dekho !!
Kay Beenaye Pighal Jaye!!!

Tumhin Kis Nay Kaha Tha???

Aasmaan Say Toot Ti Andhii Uljhti Bijlyon Say Dosti Kar Lo


Aur Itni Dosti Kar Lo
Kay Ghar Ka Ghar Hi Jal Jaye

Tumhin Kis Nay Kaha Thaa??
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:07 PM
Dabi Dabi C Wo Muskuraht

Labon Pe Apny Sja Sja K

Wo Narm Lehjy Me Bat Krna

Adaa Se Nazrein Jhuka Jhuka K

Wo Aankh Teri Shararti C

Wo Zulf Mathay Pe Nachti C

Nazar Hate Na Ek Pal B

Main Thak Gya Hon Hta Hta K

Wo Tra Hathon Ki Unglion Ko

Mila K Zulfon Men Kho Sa Jana

Haya Ko Chehray Pe Phr Sajana

Phol Chehra Khila Khila K

Wo Hath Hooron K Ghar Hon Jaise

Wo Paon Paryon K Par Hon Jaise

Nhi Ha Teri Misal Janaa

Me Thak Gya Hon Bta Bta K Jaana

(,") M . Bhatti (",)
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:08 PM
Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Darr Lagta Hai

Gher Kacha Hai Mera Mujhe Barsat Se Darr Lagta Hai

Tere Tohfay Ne Diye Mujhe Khoun K Aansu

Zindagi Ab Teri Her Sogaat Se Darr Lagta Hai

Chooro Pyar Ki Baatain Koi Or Baat Karo

Ab To Pyar Ki Her Baat Se Darr Lagta Hai

Meri Khattir Tu Kahin Badnaam Na Ho Jaye

Is Liye Teri Her Mulaqat Se Darr Lagta Hai

Apno Mai Reh Kar Kuch Aise Zakham Khaye

Humein Ay Dost Apni Zaat Se Darr Lagta Hai...
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:09 PM
Falsafa-E-Ishq Mein Pesh Aaye
"SawaloN"Ki Tarah

Hum Pareshan Hi Rahe Apne
"KhyaloN"Ki Tarah

Jb B Anjam-E-Muhabbat Ne Pukara Khud Ko

Waqt Ne Pesh Kiya Hum Ko "Misalon" Ki Tarah

Zikr Jab Ho Ga Muhabat Mein Tabahi Ka Kahin'

Yaad "Hum
Aayen Gay
Duniya Ko "Hawaalon" Ki Tarah,!!"
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:17 PM
Lipat Kr Apne Takye Se Jaagta Rehta Hoon Me,

Tamaam Raat Kisi Ki Yaad Mujhe Sonay Nahi Deti

Us Ki Koi Shokh Si Shrarat Jab Bhi Aati He Yaad,

Udaas To Kr Jaati He Pr Ronay Nahi Deti

Log Kehte Hen Bhool Kr Usay Naye Zindagi Shuroo Karo,

Wo Rooh Pr Qaabiz He Mujhe Kisi Aur Ka Hone Nahi Deti.
==========================================

Tumhen udaas Dekh ker,
Kisi k Rang kho Gae.

Kahin pe chand Bhujh Gya,
Kahin Sitaray so Gae.

Kahin pe Barishon ki Rutt,
Ghazb ki piyas Ban Gai.

Koi Bahar Rooth Kar,
Sarapa.e.Aas Ban Gai.

Kisi k Mosmon ko Yun,
Azaab Mat Diya karo.

Udaas mat Hua karo,
Udaas mat Hua karo.
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:28 PM
Ik Baar Kar Ke Aitbar Likh Do,

Kitna Hai Mujh Se Pyar Likh Do,

Katti Nahi Yeh Zindagi Ab Tere Bin,

Kitna Aur Karoon Intezar Likh Do,

Taras Rahe Hain Barri Muddat Se,

Iss Bar Apni Mohabbat Ka Izhar Likh Do,

Dewane Ho Jaen Jise Parh Kar Hum,

Kuch Aisa Tum Likh Do
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:29 PM
.Tera Aks Dil K Qareeb'tr

Teri Yad Jan Se Aziz'tr

Tera Dard Sb Se Hai Moatbr

Kbi Loat Aao Jo Ho Skey

Tere Bin Soona Mere Dil Ka Nagar

Mere Hm'nasheen Mere Hmsafr

Teri Dosti Hai Azeem'tr

Tujhe Pyar Itna Mein De Skoon

Koi De Skey Na Umr Bhr.
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:32 PM
Kon kehta hai k pani ko tarastay thay hussain, ,

On k honton ko tarasta raha pyasa pani.
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:33 PM
"BAYET" ya "SAR" yeh tha taqaza yazid ka,

Mayoos tu koi b sawali nhi gya,

Bayet na ki "HUSSAIN" ne Sar Dey Diya usey,

Iss ghar se to yazid b khali nhi gaya.
Bint E Aadam
27th December 2009, 04:36 PM
Ab aisi muhabat kia krni¿¿

Jo neend chura lay ankhon sey

Jo khuwab dikha kr pholon k,,,
Tabeer me kaantey dey jaye...

Jo ghum ki kaali raaton sey..
Her aas ka jugnu ley jaye..

Jo khuwab sjati ankhon ko.,
Ansu hi Ansu de jaye..

Jo mushkil kr dey jeene ko,,,
Jo marney ko aasan krey...

Wo dil jo pyar ka ghar tha,,
Wo yaadon ko mehman krey..

Kehney ko muhabat hai lekin...





Ab aisi muhabat kia krni?
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:02 PM
"Jäisè"Chähtè" "Thäy"Häm" "Unhäin"

"W0"B"Hämäin" "Chähtè"T0"Kyä" "Bäät"H0ti"

"Pänè"Ka" "Ärmän"T0"Thä"

"Bin"Mängè"Mil" "Jätè"T0"Kyä" "Bäät"H0ti"

"Is"Dil Mäin"Pyär" "Thä"Kitnä"

"W0"JÄÑ"Lètè" "T0"Kyä"Bäät" "H0ti"

"Häm"Näy" Mängä"Thä" "Unhäin"Khudä" "Säy"

"W0"B"Mäng" "Lètè"T0"Kyä" Bäät" "HOti"

============================
,,Hamein Apni chahat ka hisaab nahi aata,
Unka palat kar koi jawab nahi aata,
Hum to unki yaad mein soty nahi raat bhar..
Unko so kar b humara khuwab nahi aata.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:02 PM
~"Mat Karo Kisi Se Pyar Hamesha Dard Paoge..
Tanhai K Aansuon Main Behtey Jaoge...
Karni Hai To Gehri Karo Dosti...
Hamesha Umeed Se Ziyada Hi PAoge"~
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:03 PM
Masoom Mohabat ka Bus itna Fasana hai.
Kaghaz ki Haveli hai, or Baarish ka Zamana hai!

Kya shart-e-mohabat hai. Kya shart-e-zamana hai!
Awaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gana hai.

Us par ki Umeed bohat kam hai.
Kashti bhi Purani hai Toofan ko bhi Aana hai.

Samjhy ya na samjhy wo Andaaz Mohabat!
Ek shakhs ko Aankho se ek Shair Sunana hai.

Bholi si Adaa koi phir Ishq ki zid par hai!
Phir Aag ka Dariya hai aur Doob k Jana hai.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:05 PM
Koi Umeed jo Hoti Tere Lot Aane ki,

Phir na hoti Aisi Halat-e-Dil Deewane ki,

Main to Har Haal Mai Khush Rehne ki Justju Mai Raha,

Na gai Teri Aadat Woh Sataane ki,

Zindgi Jabr-e-Musalsal ki Tarah Kat raha hon,

Nahi deta koi Dua b Mar Jane ki,

Tere Sang Beeta Har Lamha Yaad Aata Hai,

Jab b Koshish ki Tujhe Bhulane ki,

Ab to Aksar yahi Sochta Rehta hon Tanha

Tujh ko Mangon ya Mangon Dua Tujhe Bhulane ki.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:05 PM
Kuch Khud Bhi Thay Afsurda se
Kuch Tum bhi Hamse Rooth gaye

Kuch Khud Bhi Zakham k Aadi thay
kuch Sheeshay hath se ***** gaye

Kuch khud Bhi thay Hassas bohat
Kuch Apnay Muqadar Roth gaye

Kuch tumko Such se Nafrat thi
Kuch Hamse Bolay na Jhoot gaye

Kuch logon ne Uksaya Tumhen
Kuch Apnay Muqadar Phoot gay

Kuch khud itnay Muhtaat na thay
Kuch Log bhi Hum ko Loot gaye

Kuch Talkh Haqaaiq thay itnay
K khwab hi Saray Toot gaye.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:07 PM
Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai

Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai


Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai

Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai


Jab unse kaha ki tasavur me Dil ALLAH Ko Sajde Karta hai

Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai


Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain

Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Rulane Ki Aadat Hoti Hai


Kun Jhutha Vada Karte Ho,

Jab Maine Kaha To Kahne Lage
Nadan Ho tum,

Vaade Se Mere Kuch Der To Rahat Hoti Hai

Andaz bahakne Lagta Hai,

Baton Me shararat Hoti Hai

Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:08 PM
Rulana her kisi ko aata hai

Hansana kisi kisi ko aata hai

Rula ker jo mana lay wo sachha yaar hai

Aur jo rula k khud bhi ro pary wo sacha pyar hai
(V) Bhatti

=========================

Shaam khafa hai aor raat b nahi hoti.

Silay hai hont koi baat b nahi hoti.

Main uski zaat ka hissa ban nahi sakta.

Magar juda us se meri zaat b nahi hoti.

========================
Hamse Koi Gila Ho Jaye To Maaf Karna...

Yaad Na Kar Payien To Maaf Karna...

Dil Se To Ham Aapko Kabhi Bhulte Nahi...

Par Ye Dil Hi Ruk Jaye To Maaf Karna..,

(V) Bhatti

==========================

Ik ajib si khwahish thi

Us masum si larki ki

Sare naaz uthane ki

Bhigi bhigi ankhon ki

Sari nami churane ki

Us k nazuk hathon pe

Apne mazbut hathon se

Mehndi ke peele rangon se

Muhabat ka name likhne kii

Us ki choti choti bat pe

Mastani c chal pe

Laal gulabi gaal pe

Apna app lutane ki

Us ki mout ki khabar pe

Us ki mehkaktti qabar pe

Qudrat ke iss qehar pe

Khuda se Shikwa kerne ki

Us nazuk si larki ki

Ik hi khwahish thi
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:09 PM
Jo Chla Gya Mujhe Chor K

Main Kabhi Na UsKo Bhula Saka

Wohi Dorian Wohi Fasle

Main Kabhi Na InKo Mita Ska

Kya Usey B Mujh Se Pyar Tha

Ya Tabassum Us Ka Shuar Tha

Wo Koi Ajib Sawal Tha

Jo Meri Samajh Mein Na Aa Ska

Meri Zindagi Ka Sakon Tha Wo

Mere DIL Ka Ik Janon Tha Wo

Meri Bandagi Mera Pyar Tha

Yehi Bat Na Main Bta Ska

Yehi Sochta Tha Main Rat Bhar

Jo Kabhi Mile Ga Wo Rah Par

To Karon Ga Us Se Shikaitain

Wo Mila To Lab Na Hila Ska.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:10 PM
Meri barbadi ki daastan sunane se pehle

mujhey itna bata jaa chor jaane se pehle

agar koi shikwa tumne mujh se kiya hota

main tum ko mana leta rooth jaane se pehle

tum khush naseeb ho humne chaha hai tumhain

warna bohat thay hum ko chahne wale tum se pehle

kya maloom tha itna tarpaye gi judaayi teri

dekho tum laut aana yeh jaan jaane se pehley

¤ (V) Bhàtti ¤
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:15 PM
Jab pyaar karna seekh liya,

Toh pyaar nibhana bhi seekh liya,

Jab aaye aapki yaad toh,

Palkon ko jhukana bhi seekh liya,

Iss dar se ki koi dekh na le yeh aansoo,

Har gham mein muskurana bhi seekh liya.
¤ (v) Bhatti ¤

=================

Ek nazar ki aas me khud reh jaoge

Is tra mat dekho wrna dekhte reh jaoge

Bila jhijhak keh do Aaj apne dil ki Baat

Socho ge to zindgi bhar sochte reh jaogy..

=====================

Yeh dil tere pyar ka talabgaar bahut hai,

kya kare hume aapse pyar bahut hai,

kab tak jiyenge yun tanhaiyon me,

hume aapke aane ka intezaar bahut hai
===============================
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:16 PM
Koi achi si SAZA do mujhko!
Chalo aisa karo BHULLA do mujhko!

Apne DIL me basi TASVIR meri!
Aisa karo JALA do usko!

Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko
Tu phir NAZAR se gira do mujh ko

Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe!
Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko

Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per!
JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko!

Tum se bichron tu MOUT aa jai mujhko,
Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko.
§ M Bhåtti §
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:17 PM
Mujhe miti k ghar banane ka shoq tha,

Usay Aashiane girane ka shoq tha,

Mai khud se ruth jata hon aksar is liye,

Mujhe ruthay huye log manane ka shoq tha,

Usay wadon ki pasdari pasnd na thi,

Lekin mujhe Ahad nibhane ka shoq tha,

Mai masruf tha tanhaiyon ki talash main,

Usay logon se milny milanay ka shoq tha,

Woh bewafa thi is main Hairat ki baat kya?

Mujhe bewafa se dil laganay k shoq tha.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:18 PM
Ik Din Mili Wo Mujh Sy
Bujhi Bujhi Si
Jhuki Jhuki Si
Udasion Main Rachi Basi Si

Jo Main Ny Poocha
Udaas Kyun Ho?

Jhuka K Palkain
Chupa k Chehra
Lagi Wo Kehne!

Udaasion Ka Sabab Tum Hi Ho
Mere Naseeb Main
"Tum Nahi Ho"...
@ M Bhâtti @
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:20 PM
Mujhe rona nhi aata.
Mujhe khona nhi aata.

K tum bin jeena mushkil hai.
Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nhi ata.

Tum to reh Lo ge saath kisi aur k mgr.
Main kya krun k mujhe RASTA badalna b nhi ata.

Tum to waaqif ho Andaz.e.Guftugu k.
Mujhe to baat krne ka salika b nhi ata.

Tum to jeet jate ho Larr jhagar kr b.
Dekho mujhe to Larna b nhi ata.

Tum to khush reh lo ge mere bin.
Dekho tumhare bin to mujhe Jeena b nhi aata.
% M Bhatti %
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:20 PM
Teri Ibtida Koi Or Hay

Teri Intiha Koi Or Hay

Teri Bat HumSe Hui To Kya

Teri Soch Mai Koi Or Hay

Hame Shouq Tha Bari Dair Se
K Tere Sharek-e-Safar Rahain

Tere Sath Chal k Khabar Hui
Tera Rasta Koi Or Hay

Kabhi Khud Se bhi To Sawal Ker
Tu Wohi Hay Ya Koi Or Hay ...!
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:21 PM
DIL k JALTE hoe ZAKHMO ko HAWA-MAT dena,

BEETE LAMHO k kisi PAL ko SADA-MAT dena,

Teri AANKHON k ye AANSOO to ANMOL MOTI hen,

Apni NAADANI me tum in ko GANWA-MAT dena,

Ab MAZA dene laga DARD-E-MOHABAT mujh ko,

Mujh ko is DARD ki ab koi DAWA-MAT dena,

Yun na ho k LOG MOHABAT hi se TOBA kar len,

Is tarah JURM-E-MOHABAT ki SAZA-MAT dena,

LOG AKSAR yun hi BIN-POCHE CHALE aate hen,

Koi POCHE bhi to tum DIL ka PATA-MAT dena...
% M Bhatti %
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:22 PM
Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana,

Agar Kisi Din Main Apny Ansu Jo Le K Aaon To Maan Jana,

Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha So Is Ko Tum Ne Hi Tor DaLa,

Shikasta DiL Ki Jo Kirchion Ko Smet Laon To Maan Jana,

Tu Khush Nhi Hai Meri BaQa Per To Sirf Itna Bata,

Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe Muskraon To Maan Jana,

Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr To Sirf Aik Bar Azma Le,

Jo Haar Jaon To LouT Jana,Jo Jeet Jaon To Maan Jana.

*%*M. Bhatti*%*
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:23 PM
Khamoshi se bhikarna aa gaya hai,

Hume ab khud ujarna aa gaya hai,

Kisi ko bewafa kehte nahi hein hum,

Hume bhi ab badalna aa gaya,

Kisi ki yaad mein rote nahi hum,

Hume chup chap jalna aa gaya hai,

Gulabon ko tum apne hi rakho,

Hume kanton pe chalna aa gaya hai...

*%*M.Bhatti*%*

===============

Zindgi per kitaab likhunga,

Uss me Sary hisaab likhunga,

Pyar ko waqt guzari likh ker,

Chahton ko azaab likhunga,

Hui Barbad Muhabbat kesy,

Kesy bikhry hain khuwab likhunga,

Apni khwahish ka tazkra ker k,

Naam uss ka jawab likhunga,

Uski Aankhain Sharab ki manind,
Uska Chehra Gulaab likunga,

Mai us se Judai ka sabab,

Apni kismat kharab likhunga.
*%* M.Bhàtti*%*

===============
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:25 PM
Mery Har Udas Pal Main,
Mera sath chor Jana

Ye kahan ki Ulfatain hain?
Ye kahan ki Dosti hy?

Tumhain Daikh kr Laga Tha,
Tumhi Zindgi ho meri,
Tumhi Bandgi ho meri

Tumhi Har Khushi ka saya,
Tumhi Saadgi ho meri

Mujhy kya khabar thi JANAA
Tum Yun Wafa karo Gay

Mery Har Udas Pal Main
Mera Sath Chor do Gey.

*%* M.Bhàtti*%*

===================
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:27 PM
MuJhe udas dekh kr zamane ne sawal kya?

Wo kon hai Jisne tera ye hal kiya!

Maine kaha wo mohabat hai Jo meri Un k sath hai

Wo nahi sath mere bas itni si bat hai
%M. Bhàtti%

=====================

Ankhon se Q Aansu chalak jate hen,

Tanhaiyo me Q Gham Yaad Aate hen,

Aansu Ponchh kar Koi to Bata De hamen?

Rulane Wale hi Aksar Q Yad Aate hai.
"¤M.^Bhátti¤"

==============================
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:36 PM
Ik zara si bhool khata ban gai,,,,


,,,WAFA,,,hi mairi '''SAZA''' ban gai,


.',"DIL",'. liya aor khail kr torr diya,


hamari jan gai aor unki ADAA ban gai.

==========================

EK Jesi Lagti Hain' Churiyan or Larkiyan,
Hansti Hain' Khanakti Hain' Churiyan or Larkiyan..

Nazuk Inteha ki' Ek Zara-si Thais se,
Toot-Kar Bikhrti Hain' Churiyan or Larkiyan..

UNKY Torrny-WaLy ko Ehsaas-tk Nahi Hota,
Bikhr-k KAB SambhLti Hain' Churiyan or Larkiyan..

Zindagi ki Dharkano ko Ek RYTHM-sa Deti Hain,
Zeest ko Sajati Hain' Churiyan or Larkiyan.

Apney Dukh ko Apney Andar Rakh k BhooL Jaati Hy,
Bahir se Chamakti Hain'Churiyan or Larkian.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:37 PM
Koi Pall Bina Tumhare

Bhala Kese Beet Jaye?

Mere Paas Tum Nahi Ho

Mere Paas Kab Nahi Ho?

Meri Yaad K Nagar Men

Mere Khawab K Safar Men

Meri Aankh K Bhanwar Men

Bus Aarzu Tumhari

Is Aarzu Se Aagay

Koi Raasta Nahi Hai.


Tumhen Kis Qadar Hai Chaha?


Tumhen Yeh Pata Nahi Hai.
Bint E Aadam
27th December 2009, 05:38 PM
Main na mil sakun jo Tum sy.

Meri justuju Na karna.

Tumhein Meri hi Qasam ha.

Meri aarzu Na karna.

Mujy jis say thi Mohabat usay thi ajab ye Adat.

kbi mun phair lena.

kbi guftugu Na karna.

Maine chaha tha kisi ko.

Mera haal kia ha dekho.

Jo kia Qasur maine.

wo Tum kbi Na karna....... !
cmas
27th December 2009, 07:38 PM
nice sms
Bint E Aadam
6th January 2010, 11:40 PM
Na fikr-e-farda,
Na yaad-e-mazi,
Na chain dil ko,
Na be-qarari,

Na hd sy guzra hua
junoon wo,
Na khamoshi wo
pehly jaisi,

Bs aik udasi hai
dheemi dheemi,
Bs aik khamosh c
be-qarari,

Jo zindagi k adhoore pn ko,
Hadon sy aage barha rehi hy,

Shayed teri yad aa rehi hai,
HAAN.
Teri yaad aa rehi hai...ii
Bint E Aadam
6th January 2010, 11:55 PM
Kosar k saqi ka wo nawasa
HUSSAIN tha,
Jab karbala k dasht me pyasa HUSSAIN tha...

Badal yazeediat k jo phale the char su,
Un me chamakta aik sitara HUSSAIN tha...

Karta wo kase hath pe bait yazeed k,
Us waqt sab se urfa-o-aala HUSSAIN tha...

Hilne laga tha arsh-e-ilahi bhe us ghari,
Jab karbala ke rait pe tarpa HUSSAIN tha...

Pardes me shaheed jise kar dia gya,
Wo MUSTAFA(S.A.W) ki ankhon ka tara HUSSAIN tha...
Bint E Aadam
6th January 2010, 11:58 PM
Daikh lo...!
Adam-o-hwa ka libas shetaan ney utrwa dia.

Jb wo belibas huway to ALLAH ney zameen pr bhej dia.

Ab wo phir sey tmhara libaas cheen raha ha.

Ibn-e-adam aor bint-e-hwa ka libaas mukhtasar sey mukhtasar....

Libaas km nazar aata ha, jism ziada.

Adam to janat sey neechy zameen pe aa gaye. Main, tum aor hum sb gunehgaar kahaan jayain gay....?

Is sey to neechy dozakh He hai..??
Bint E Aadam
7th January 2010, 12:02 AM
Kisi Roz Milo Tanhai Me

Kitni Baten Kehni Hen

Tera Hath Pakar Kar Rona Hai

Teri Aankhon Me Khona Hai

Phir Aankhon Se Kuch Kehna Hai

Or Lafzon Ne Chup Rehna Hai

Aansu Bhi To Zid Karte Hen

Inhen Tere Samne ****a Hai

Kisi Roz Milo Tanhai Me
k
in aankhon ne bohat kuch kehna hai>
Bint E Aadam
7th January 2010, 12:12 AM
Wo Kehti Hy
K
Hum Saari Raat
Unhei'n
Soney Nhi Dete

Hum Kehty Hyn
K
Aap Ki Yaad Ka
Noor Hi Kuch Aisa Hy
K
Aap Humari Raat
Honay Nhi Dete .. ;)
Bint E Aadam
7th January 2010, 04:42 PM
Mujh ko mile koi is trha k phir mujh se juda na ho

Wo samjhe mere mizaj koaur kabhi bhi mujh se khafa na ho

Wo apne ehsas se bant ley
tanhaiyan mere wajud ki,

Mujh ko itna pyar de jo pehle kisi ne diya na ho
Bint E Aadam
7th January 2010, 04:47 PM
'",.'.UDAAS RAAT'",."'

Badan Thakan se Choor hai,

Par Neend Hum se Door hai,

Tera Kheyal sath hai,

Bari Udaas Raat hai,

Hawa-e-Gham ka zoor hai,

Samandron ka Shor hai,

Judaiyon ki baat hai,

Bari Udas Raat hai,

Har Nazar Sharab hai,

Tere Milne ka Khuab hai,

Bari Udaas Raat Hai...
Bint E Aadam
7th January 2010, 04:49 PM
Ek Din Mujhe Se Boli

Kya Wo Tum Ho?

Jo Mere Kano Se Lag Kar

Apni Gazlain
Apni Nazmain

Keh Jata Hai

Phir Main Bola!

Han Main Wohi HooN,

Phir Wo Boli!

Bohat Buray Ho,
Bohat Buray Ho.

Neend Ura Kar So Jate Ho. . .!
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:02 PM
Dety Hain Ujaley Mery sjdon Ki Gavahi

Me Chhup K Andheron Me Ibadat Nhi Krta

Bhola Nhi Mai Aj B Aadab-e-Javani

Me Aj B Auron Ko Nseehat Nhi Krta

Insan ye smjhen k yahan Dfan Khuda hy

Me aisy mzaron ki ziarat ni krta

Dunya me is se ziada koi munafiq Nhi "Qteel"

Jo zulm to sehta hy Baghawat Nhi krta!
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:02 PM
Har aarzu hamesha adhuri nahin hoti,

Muhabat main kabhi doori nahi hoti.

Jinke dil main aap jaise log rehte ho,

unke liye to dharkan bhi zaroori nahin hoti..

---------------------------------------

"UDAAS RAAT"

Badan Thakan Se Choor Hai..

Par Neend Hum Se Door Hai..

Us ka Khayal Sath Hai..

Barri Udaas Raat Hai..
Hawa-e-Gham Ka Zor Hai..

Sa Udaas Raat Hai..

Gay Dino Ki Yaad Hai..

Thaka Thaka Sa Chand Hai..

Dukhi Dukhi Si Baat Hai..

Barri Udaas Raat Hai'

=================

KONSI RUT TERE NAAM LIKHON

January ki Sobh-e-Roshan

K February ka Ubharta Joban

March Khila Khila Sa

K April Dhula Dhula Sa

May ki Ugti hoi Dhoop

K June ka Chubta hova Sakoot

July ka Sar Charhta hova Sooraj

K August mein Ghulami ka Dhalta hova Sooraj

September mein Janam leti koi Khwahish

K October mein Piyar ki Barish

November ki Sari Raanaiyan

K Bheegtay December ki Tanhaiyan.

TU HE BTA DoST K IS new year
KONSI RUT TERE NAAM LIKHON.


==========================

"Koi khowaish teri adhuri na rahe,
Chahe jise tu us se duri na rahe,
Khushiyun k phol itne khilen tere jevan me,
K
Hamari yad b
Tere liye zarori na rahe.
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:07 PM
Koi To Samete Koi To Sambhale Mujko

Kuch Der Apni Banho Me Sula Le Mujko

Bikhri Hui Hawa K Sath Safar Me Hoon

Kabi To Apne Ghar Bula Le Mujko

Me Use Rakhoon Apne Dil Ki Dharkan Ki Tarha

Wo Bi Apni Ankh Ka Kajal Bana Le Mujko

Me Chahon Wo Sirf Mera Hi Rahe

Wo B Apni Zaat Ka Qaidi Bana Le Mujko

====================
December Aaj KyuuN Udaas Hai

Mere' LiyeYa Phir

Us Ke Liye

Jis Ke Dard Ki Wajha Se

Us Ki Shaam Sard

Aor Kaali Hai

Ya Phir

Wo Jo Mujh Se

BichaR Chuke'y

Wo KaheiN Bohat Udaas HaiN...

===========
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:08 PM
PARVEEN SHAKIR

Tumhry 'KHWAB' Sajany Mein Lutf Aata Hai...

K Apna Aap 'JALANY' Mein Lutf Aata Hai...

Khuda Say Jb Ap K Lye Dua Karti Hn
Mujhy Ye "HATH" Uthany Men Lutf Aata Hai...

Teri "YAAD" Mein Bas Jaagtay Rahein Shab Bhar...

Khd Apni NEEND Churany Me Lutf Aata Hai...

Teri "ZAAT" Se Hai Be_panah "PIYAR" Hamein..

Tumhary "NAAZ" Uthany Men Lutf Aata Hai.
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:11 PM
December Ki Udass Rutt
Lout Ayi Hay Nami Ankhon Mein Liye
Aur Keh Rahi Hay Mujhe
K Tere Waste Ab Ki Baar Bhi
Mere Daman Mein Sirf Tanhayi Hay!!!

==========================
SuNooo
December Ki Thatharti Hoi Shamien

Kohar Mein Lipti Dhundali Se Subhien

Darakhto'n Se Girtey HuayKhushk Zard Pattey

Woh Gao'n Ke Tama'm Raste

Mohabbato'n Ke Tama'm Rishtey

Khiyaal Abad Karte Hain

Tumhein Sab Yaad Karte Hain !

========================
Kuch Raaz Hain Meray Seenay Mein
Din Kam Hain Meray Jeenay Mein

Mujay Dheray Dheray Kehne Do
Apne DIL Mein Mujh Ko Rehne Do

Meri Bojhal Palkain Kehti Hain
Ye Tujh Ko Takti Rehti Hain

Main Sab Kuch Khona Chahta Hon
Bas Tera Hona Chahta Hon

Ajeeb Khuahish Mein Kho Jaon
Teri Gode Mein Sar Rakh K So Jaon

Mujh Pe Itna Ehsan Kar Do
Ik Din Mere Nam Kar Do

Phir Na Lot K Aaon Ga
Na Tujh Ko Kabhi Sataon Ga

Ye Mera Tujh Se Wada Hai
Ab Keh De Jo Tera Irada Hai

======================
Usay Mere Marny
Ki Khabar Na Dena
<==MOHSIN==>

K Agar Wo Ro Para
To Ye Dil
Phir Se Dhark Uthay Ga.
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:12 PM
DECEMBER JAB BHi AATA HAi

Wo Pagli Phir Se
Beetay Mosam Ko,
Yad Krti He

PoraNe Cards Parhti Hai,
K Jis MaiN Oss Ne Likha Tha,
MAiN LOTOON GA DECEMBER MEiN

Naye Kaprey BaNati Hai,

Wo Sara Ghar Sajati Hai,
DECEMBER K Har Aik DiN Ko,
Wo GiN GiN Ker Bitati He.

JooN Hi 15 Gozarti Hai,

Wo Kch Kch Toot Jati Hy,

Magar Phir B,
PoraNi Albums Ko Khol Ker,
Maazi Ko Bolati He.

Nahi Maloom Ye Oss Ko,
K Beete Waqt Ki KhoshiyaaN,
Bohot Takleef Deti HaiN!
Mehiz Dil Ko Jalati HaiN.

YooN Hi DiN Beet Jate HaiN!
DECEMBER Lot Jata He.

Magr Wo Khosh Feham Larki,
Dobara Se CaleNdar MaiN,
DECEMBER K MahiNe K Safey Ko
Mor Ker

Phir Se
DECEMBER K Sehar MaiN Dob Jati He!

K Akhir Os Ne Likha Tha,

MAiN LOTOON GA DECEMBER MAiN

=========================
December K Maheenay Ka W0h Shayad Aakhri Din Tha

Guzray Baras Kaheen Maine
Mohabbt Lafz Likha Tha

Kisi Kaghaz K Tukrray Per

Achanak Yad Aaya He

Guzre Baras Kaheen Mujhko
Kisi Se Bat Kerni Thi

Usy Kehna Tha Jaan_e_jaan!
Mujhe Tum Se Møhabbat He

Mager !!
Mai Keh Nahi Paya


Wo Kaghaz Aaj Tak Lipta Para He Dhøøl Mei

Lekin,,Kisi Kø De Nahi Paya

December Phir K Aya He
December Phir K Ja Raha He

Magr!!

Døbara Chah Ker Bhi Mai

Mohabbt Ker Nahi Paya..



======================
Kisi Sabab Se Agr Bolta Nahi Hoon M'n,
To Yun nahi K Tujhe Sochta nahi Hoon M'n,

Main Tum Ko Khud Se Juda Kr K Kis Tarah Dekhon,

K Main Bhi Tum Hoon Koi Doosra Nahi hun main ,

Meray Wajood K Andar Mujhey Talash Na Kr,

K Is Makaan Me Aksar Raha Nahi Hoon Main,

Main Ek Umar Se Khud Ko Talashta Hoon Magar,

Mujhey Yaqeen Nahi hy, Hoon Bhi Ya Nahi Hoon Main.


==================================
Toote khuwabo ko "SAJANA" aata hy

"ROOTHE" dil ko manana aata hy

Aap humare "GUM" ko dekh kr "PARESHAN" na hona

Hamhe to "DARD" me bi "MUSKRANA"ata hy.



====================================
~ Kuch Un Ki Wafaon Ny Loota Kuch Un Ki Inayet Maar Gayi,

~ Hum Raaz_e_Mohbt Keh Na Sakay Chup Rehnay Ki Aadat Maar Gayi,

~ Dil Ny B Bohat Majboor Kiya,
Milnay B Lakhon Baar Gaye,

~ Gee Bhar K Unhein Na Dekh Sakay Aankhon Ki Sharafat Maar Gayi,

Wo Kon Hy Jin Ko Jeenay Ka Pegham Mohbt Deti Hy,

~ Hum Ko To Zamanay Mein Ay Dil
Bay_Dard Mohbt Maar Gayi,

~ Dono Sy He Shikayet Hy,
Ilzam Ab Kiss Pr Lagaein Saki,

~ Kuch Dil Ny Hamein Barbad Kiya Or Kuch Apni Kismat Maar Gayi.

=================================
Wo Akhri Shab December Ki,
Darwazy Ki Chokhat Pay
Muntazir Tumhari Thi,
Nigah Me Uska Chehra Tha,
Subah Say Sham Thera Tha,
Magar Sham Dhaltay Hi
Mere Aanso Nikal Aaye,
Bohut Na Umeed Ho Kar
Main Darwazay Say Palat Aai,
K Itnay Me Awaz Aayii, Ulfatoun Ki Raahon Me,
Apni Mohabbat K,
Muntazir Nahi Hotay, Mohabbat Khud Hi Aati Hai, Mohabbat Khud Hi Jati Hai, Main Jhapti Foran Chokhat Par,
Magr Wo Wehm Mera Tha,
Baras Pichlay December Me,Tu Mujhsay Milnay Aya Tha,
Na Pocho Mujsay Gyara(11) Mah
Kesay Maine Bitaaye Hain,
Hr Ik Lamha Ye Socha Tha,
Decembr Kab Tu Aayega,
Mujhe Milnay Wo Aayega... |'!'|

============================

Zara Udas Hoon Lekin Zara
Masroor Bhi Hoon...

Tumharay Paas Hoon
Shayad,Shayad Door Bhi
Hoon...

Yoon Pathreelay Raston Pay
Chalna Shoq Nahi Mera..;

Kuch Muaamla Chahat Ka Hay
Kuch Majboor Bhi Hoon..

Mohabbat Ho Gai Tum Say Bus
Itni Khata Hay Meri...

Mana K Mujrim Hoon Magar
BayQasoor Bhi Hoon...
Bint E Aadam
7th January 2010, 05:14 PM
Kabi jo waqt parh jaae

Tumhen Mujhse Bicharna ho

Tumhen waday se Phirna ho

To Be-shak Dair Mat karna

Mujhy Naraz kr Dena

Tum Apna Rukh Badal Lena

Tum Apni Simt chal Dena

Magr jab LoAt k AnA

Tumhen Mit'ti k Teelay pr

Main Shayad na Dikhai Doon

Magr Heraan Mat hona

Wahin 2 char Qadmon pr

Mazaar-E-Bekran hoga

Wahan ik Phool Rakh Dena

Aur ik Shama jala Dena

Aur Apna Rukh Badal Lena
"AUR APNI SIMT CHAL DENA"

======================
Khushion ki arzo mai muqadr b so gy

Aandhi chali kuch aisi k apny he kho gy

Kia khoob tha unka ye andaz-e-muhabt k

Pyar dene aye thy palkein bhigo gy.

===========================

=Jåtå Høwå Décèmbèr

¥e kéh Råhå Håi. Tùm §é.

Rùthåy kø Tùm Måñå Lo.

Håñs k Gålåy Lågå Lo

Ør keh Do

Ådvance Mein.=

HÅpp¥ NÉW ¥ÉÅR.= 2 0 1 0

================================
Bata Raah-e-Mohabt me, Chaloon me kis tarah Tanha?

Bina tere Mere Hmdm chla mujhse nahi jata!

Meri Khushyo k sb Khaake Tmhare bin Adhure hen!

Mere Spne meri ratain Mere sab din Adhure hen!

Mera Spna haqeqat me jo yun tabdeel ho jae,

Agar Tm aa milo JANA Meri Takmeel ho jai.
Bint E Aadam
18th January 2010, 10:54 PM
~Usko rab se itni bar manga hai, "JANA"

k Ab ham sirf haath utathe hain...

tosawal farishtekhud he likh detèy hain.

===========================

Tere raste men khushiyon k khilen kanwal,
Tere liye umr bhr koi kehta rahe ghazal,
To kisi ki duaon men sda rhe shamil,
Tujhe Prwrdigar ki rehmaten rhen hasil,
Roshni tera muqaddar ho,
Tere liye kamyabion ka samandar ho,
Pare na tujh pr kisi bure ki nazar,
Na ho tujh par kisi baddua ka asar,
Har lb pr ho tere liye dua,
Tere sath rhe umr bhr meri ye DUA...... Aameen

=============================

Suno Janaan....!

Main
Tum Sy
Ek Bat Kahon...!

Badal
Barish
Aur Khushboo

Pehly Achhy Lagty Thy. . . .!

Ab

Tum Achhy Lagty Ho. . . . .!


======================

Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin

hmari choti c naiki sanbhal rkhta hai

Hm usay bhol jate hain roshni men

wo taariqi mn b khyal rkhta hai

Jo kbi dair se lotun to meri maa ki trah

wo meray rizk ka hisa nikal rkhta hai

gharo men jin k diya b nae hai un k lye

fiza men chaand sitarey uchal rkhta hai


Mohabat apne bando se kamal rakhta hai.

Woh aik ALLAH he hai jo hmara khayal lazawal rakhta hai.

=====================

Us ne raat k andhere me,,
mere hath ki hatheli pe,,
likha tha apni ungli se,,
"Mujhe Pyar Hy Tumse"
Jany kesi seyahi thi wo,
k mit-ti b nhi or dikhti b nhi.

=======================

Suljhi hui si shakhsiyat samajhte hain mujh ko log,

Magar...!!!

Kohi janta nahi...!!!

K...!!!

Uljha huwa sa mujh mae kohi doosra bhi hai...!!!
Bint E Aadam
18th January 2010, 10:56 PM
A Little Girl & her father crosing a Bridge
Father said! Plz hold my hand,
Girl: No Dad,U hold my hand,
Father: Wats the difrence?
Girl: If I hold Ur hand may I leave ur hand in some difficulty but if u hold my hand I m sure that u'll nt leave my hand

ALLAH protect our parents "AMEEN".

=======================

Abhi na jao chörr ke iss mehfil ko

FÅRAZ


Thorri dair baad
" eithey chol wande jaan ge

",,
(,")/'
/) /
_/ \_ na Jaa øye chol kha ke jaen.....!!


=================
Bint E Aadam
18th January 2010, 10:58 PM
Wo bakshta hai gunah e azeem b lekin

hmari choti c naiki sanbhal rkhta hai

Hm usay bhol jate hain roshni men

wo taariqi mn b khyal rkhta hai

Jo kbi dair se lotun to meri maa ki trah

wo meray rizk ka hisa nikal rkhta hai

gharo men jin k diya b nae hai un k lye

fiza men chaand sitarey uchal rkhta hai


Mohabat apne bando se kamal rakhta hai.

Woh aik ALLAH he hai jo hmara khayal lazawal rakhta hai.

======================

"K HUM DOST" "HEIN"


Roz Na Sèhi Kisi Din Yaad Kar Lena,
"K HUM DOST" "HEIN"

Kabhi Neend Na Aaey Tu Humein Bhi Jaga Lena
"K HUM DOST" "HEIN"


Kabhi Bhi Kuch Bhi Kehna Ho To Bila Jhijhak Kehna,
"K HUM DOST" "HEIN"


Agar Kabhi Kuch Dena Chaho To Humein Apne Gham Dena
"K HUM DOST" "HEIN"


Agar Jo Na Kehna Chaho To Kabhi Alvida Na Kehna "K HUM DOST" "HEIN"

No comments:

Post a Comment